Jo Rukey To Koh-e-Garan Thay Hum
Na ganwa’o navak-e-neemkash, dil-e-reza reza ganwa diya jo bache hain sang samet lo, tan-e-daagh daagh lutaa diya mere chaaragar ko naveed ho, saf-e-dushmana ko khabar karo woh jo qarz rakhtay thay jaan par wo hisaab aaj chuka diya karo kaj jabeen pe sar-e-kafan, mere qaatilon ko gumaan na ho ke ghuroor-e-ishq ka baankpan,…